raaz ye mujh pe ashkara hai
ishq shabnam nahin sharara hai
ik nigah-e-karam phir us ke ba.ad
umr bhar ka sitam gavara hai
raqs men hain jo saghar-o-mina
kis ki nazron ka ye ishara hai
aisi manzil pe aa gaya huun jahan
tire gham ka hi ik sahara hai
lauT aa.e hain yaar ke dar se
vaqt ne jab hamen pukara hai
dil na TuuTe to zarra-e-nachiz
kimiya hai jo paara paara hai
jam-e-rangin men un ka aks-e-jamal
ya shafaq men koi sitara hai
naav TukḌe hui hai tufan se
ab to murshid ka hi sahara hai
ishq karna hai maat kha jaana
us men jiita hua bhi haara hai
apne darshan pe ik nigah-e-karam
vo gham-e-zindagi ka maara hai
Leave a Reply