kabhi bhuul kar bhi na baat ki mujhe dil se aisa bhula diya
kahun kya main teri shararten ki jigar ko tu ne jala diya
vo banao karne hain baithte to sabhon se lete hain khidmaten
kabhi mal di missi raqib ne kabhi surma main ne laga diya
gham-e-ishq ki suni dastan to kaleja thaam ke yaar ne
ye kaha ki qissa ajiib tha mire dil ko us ne kudha diya
mire khat ko us ne na jab padha mire nama-bar ko bhi gham hua
kaha muddaton ka jo aasra tha vo aaj tum ne mita diya
kabhi puchha main ne bahisht ko ki batao to vo hai kis taraf
to ‘shabab’ kucha-e-yar ka mujhe zahidon ne pata diya
Leave a Reply