hamare zehn men ye baat bhi nahin aa.i
ki teri yaad hamen raat bhi nahin aa.i
bichhaḌte vaqt jo garje vo kaise badal the
ye kaisa hijr ki barsat bhi nahin aa.i
tujhe na pa sake ham is ka ik sabab ye hai
palaT ke gardish-e-halat bhi nahin aa.i
hua yuun haath se baazi nikal ga.i ik roz
hamare hisse men phir maat bhi nahin aa.i
ulajh ke rah ga.e kya ham bhi kar-e-duniya men
ki naubat-e-safar-e-zat bhi nahin aa.i
Leave a Reply