ishq dariya hai giran-bar na jaane koi
bahte paani ko gunahgar na jaane koi
is men ruhon ki mulaqat hua karti hai
khvab ke pyaar ko be-kar na jaane koi
main jo halat ke dhare men bahi jaati huun
mujh ko lahron ka taraf-dar na jaane koi
sar jhukaya hai mohabbat men mohabbat ke liye
is mohabbat ko miri haar na jaane koi
main yunhi vaqt-guzari ko chali aai huun
mujh ko khvabon ka kharidar na jaane koi
mujh ko halat ki talkhi ne kiya hai barham
meri guftar ko talvar na jaane koi
yaad aate hi ghazal banti hai meri ‘bilqis’
saat-e-hijr ko azar na jaane koi
Leave a Reply