Asiri Be-Maza Lagti Hai Bin-Sayyaad Kya Kije

asiri be-maza lagti hai bin-sayyad kya kiije

qafas ke kunj men tanha abas fariyad kya kiije

miri tamkin gai misl-e-jaras barbad kya kiije

ki main to chup huun par karta hai dil fariyad kya kiije

asar karta nahin bin sajda-e-taslim ke naala

ham is misraa pe ghair-az-halqa-e-qad saad kya kiije

kanar-e-be-sutun men kyuun diya naqsh apne dilbar ka

tabhi farhad duniya se gaya nashad kya kiije

patakta sar jo sang-e-surat-e-shirin se behtar tha

abas teshe ke sar khuun de gaya farhad kya kiije

Leave a Comment