tire sofe hain afrangi tire qalin hain irani
lahu mujh ko rulati hai javanon ki tan-asani
imarat kiya shikva-e-khusravi bhi ho to kya hasil
na zor-e-haidari tujh men na istighna-e-salmani
na dhund us chiiz ko tahzib-e-hazir ki tajalli men
ki paaya main ne istighna men meraj-e-musalmani
uqabi ruuh jab bedar hoti hai javanon men
nazar aati hai un ko apni manzil asmanon men
na ho naumid naumidi zaval-e-ilm-o-irfan hai
umid-e-mard-e-momin hai khuda ke raz-danon men
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shahin hai basera kar pahadon ki chatanon men
Leave a Reply