Hua Naqib-E-Bahaaran Abhi Nahin Ai Dil

huā naqīb-e-bahārāñ abhī nahīñ ai dil

ye rut badalne kā imkāñ abhī nahīñ ai dil

firāq-e-naġhma se mere hī lab malūl nahīñ

koī parinda ġhazal-ḳhvāñ abhī nahīñ ai dil

abhī kuchh aur ḳhajil ho rah-e-tamannā par

tū is ke lutf kā unvāñ abhī nahīñ ai dil

use bhulāne meñ kuchh vaqt to lagegā mujhe

ye kaam itnā bhī āsāñ abhī nahīñ ai dil

tum apnī saarī kamandeñ na pheñk denā kahīñ

udhar vo chashm gurezāñ abhī nahīñ ai dil

sañvar kuchh aur ki jalva-numā.iyāñ terī

nigāh-e-shauq ke shāyāñ abhī nahīñ ai dil

charāġh-e-ḳhvāb ho raushan to koī baat bane

nashāt-e-dīda-e-hairāñ abhī nahīñ ai dil

Leave a Comment