• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kya Bataen Ki Kis Rahguzar Ki Gard Hue

Ye Kya Bataen Ki Kis Rahguzar Ki Gard Hue

ye kya bata.en ki kis rahguzar ki gard hue

ham aise log ḳhud apne safar ki gard hue

najat yuun bhi bikharne ke karb se na mili

hue jo aa.ina sab ki nazar ki gard hue

ye kin dukhon ne cham-o-ḳham tamam chhin liya

shua-e-mahr se ham bhi sharar ki gard hue

sab apne apne ufuq par chamak ke thoḌi der

mujhe to daman-e-sham-o-sahar ki gard hue

pukaro kah ke hamen chhanv ji na bahlega

bache jo dhuup se pa-e-shajar ki gard hue

hamen bhi bolna aata hai phir bhi hain ḳhamosh

ki ham tire suḳhan-e-muḳhtasar ki gard hue

dhula sa chehra bhi kuchh maand paḌ gaya aḳhir

hue na ashk tiri chashm-e-tar ki gard hue

sharir-o-tund hava thi ki rau ma.ani ki

tamam lafz lab-e-mo’tabar ki gard hue

ye raah kitni pur-ashob hai ‘faza’ na kaho

qalam ki raah chale ham hunar ki gard hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

mirza-ghalib

dil-E-Nadan Tujhe Hua Kya Hai

Humne Pai Lazzat-E-Didar Lekin Dur Se

shahryar

Tambih

Usi KHush-Nawa Mein Hain Sab Hunar Mujhe Pahle Tha Na Qayas Bhi

poet

Koshish-E-Tark-E-Mulaqat Ka Afsos Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet