• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Charagh

Ye Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Charagh

ye narm narm hava jhilmila rahe hain charagh

tire ḳhayal ki ḳhushbu se bas rahe hain dimagh

dilon ko tere tabassum ki yaad yuun aa.i

ki jagmaga uThen jis tarah mandiron men charagh

jhalakti hai khinchi shamshir men na.i duniya

hayat o maut ke milte nahin hain aaj dimagh

harif-e-sina-e-majruh o atish-e-gham-e-ishq

na gul ki chak-garebaniyan na laale ke daagh

vo jin ke haal men lau de uThe gham-e-farda

vahi hain anjuman-e-zindagi ke chashm-o-charag

tamam sho.ala-e-gul hai tamam mauj-e-bahar

ki ta-had-e-nigah-e-shauq lahlahate hain baagh

na.i zamin naya asman na.i duniya

suna to hai ki mohabbat ko in dinon hai faragh

jo tohmaten na uThin ik jahan se un ke samet

gunahgar-e-mohabbat nikal ga.e be-dagh

jo chhup ke taron ki ankhon se paanv dharta hai

usi ke naqsh-e-kaf-e-pa se jal uThe hain charagh

jahan-e-raz hui ja rahi hai aankh tiri

kuchh is tarah vo dilon ka laga rahi hai suragh

zamana kuud paḌa aag men yahi kah kar

ki ḳhuun chaaT ke ho ja.egi ye aag bhi baagh

nigahen matl.a-e-nau par hain ek aalam ki

ki mil raha hai kisi phuTti kiran ka suragh

dilon men dagh-e-mohabbat ka ab ye aalam hai

ki jaise niind men Duube hon pichhli raat charagh

‘firaq’ bazm-e-charaghan hai mahfil-e-rindan

saje hain pighli hui aag se chhalakte ayagh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se

Dil Ko Yaksui Ne Di Tark-E-Talluq Ki Salah

nida-fazli

Nind Pure Bistar Mein Nahin Hoti

nahid-qasmi

Banjar dil Sairab Karo

majrooh-sultanpuri

Is Bagh Mein Wo Sang Ke Qabil Kaha Na Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet