hamid kahan ki daud ke jaun khabar ko main
kis aarzu pe qata karun is safar ko main
maana buri khabar hai pa teri khabar to hai
sabr-o-qarar nazr karun nama-bar ko main
ye sang-o-khisht aah dilate hain teri yaad
rota huun dekh dekh ke divar-o-dar ko main
hai teri shakl ya tiri avaz ka khayal
karta huun iltifat yakayak jidhar ko main
afsos haae haae ki aati nahin sada
puchhe to kya bataun tire chara-gar ko main
kya ho gaya ise ki tujhe dekhti nahin
ji chahta hai aag laga duun nazar ko main
achchha jo tu ne gosha-e-marqad kiya pasand
ab apne haq men gor banaunga ghar ko main
tere sar-e-aziz ki balish ho khaak se
balin-e-gham se ab na uthaunga sar ko main
dekhi na thi bahar abhi tere shabab ki
bhula na tha abhi tire ahd-e-sighar ko main
taqdir hi ne haae na ki kuchh musaidat
kya rouun ab dua-o-dava ke asar ko main
hukm-e-khuda yahi tha ki baitha kiya karun
matam men tere ashk-fishan chashm-e-tar ko main
juz dard-o-dagh tu ne na chhoda nishan haif
rakhunga mehman inhen umr bhar ko main
kar ne do ah-o-nala ki akhir rahunga baith
taslim kar ke hukm-e-qaza-o-qadar ko main
kya fikr-e-ab-o-nan ki gham kah raha hai ab
maujud huun ziyafat-e-dil aur jigar ko main
tujh ko javar-e-rahmat-e-haq men jagah mile
manga karunga ab ye dua har sehr ko men
habs-e-davam to nahin duniya ki mar rahun
kaahe ko ghar khayal karun rahguzar ko main
khud ham se bhi zyada ho jo ham pe mehrban
vo jam-e-zahr de to na chakhun shakar ko main
vo jaane aur us ki raza jo pasand ho
sab kaam saunpta huun usi dad-gar ko main
hota na dil men dard to karta na haae haae
deta na tuul yuun sukhan-e-mukhtasar ko main
Leave a Reply