
Qamar Iqbal
duriyan saari simaT kar rah ga.iin aisa laga
muund li jab aankh to siine se koi aa laga
kis qadar apna.iyat us ajnabi basti men thi
go ki har chehra tha begana magar apna laga
paas se ho kar jo vo jaata to ḳhush hote magar
us ka katra kar guzarna bhi hamen achchha laga
us ghaḌi kya kaifiyat dil ki thi kuchh ham bhi sunen
tu ne pahli baar jab dekha hamen kaisa laga
jis qadar gunjan abadi thi us ke shahr ki
jaane kyuun har shaḳhs ham ko is qadar tanha laga
jism ka atish-kada le kar to pahunche the vahan
haath jab us ka chhua to barf se ThanDa laga
jab kisi shirin-dahan se guftugu ki ai ‘qamar’
apna lahja bhi hamen us ki tarah miTha laga

Leave a Reply