na puchho jaan par kya kuchh guzarti hai gham-e-dil se
qarar aana kahan ka saans bhi aati hai mushkil se
ba-har-surat safina duub jaata hai mohabbat ka
kabhi takra ke tufan se kabhi takra ke sahil se
ise kahte hain mahrumi use kahte hain nakami
sar-e-manzil pahunch kar bhi huun ab tak duur manzil se
dil-e-betab paata hai sukun kab josh-e-ulfat men
ye dariya maujzan ho ho ke takrata hai sahil se
yahan tak rafta rafta badh gaya ehsas-e-mahrumi
unhen dekha magar tishna-nazar uttha huun mahfil se
Leave a Reply