• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHwahishon Ki Maut Ka Yaro Bhala Chaha Karo

KHwahishon Ki Maut Ka Yaro Bhala Chaha Karo

ḳhvahishon ki maut ka yaaro bhala chaha karo

phailti tarikiyon men chand ka charcha karo

be-mahaba jam hi jaa.en dard ki jab mahfilen

apne gham ko shahr-e-baḳht-e-na-rasa samjha karo

lahlahati vadiyon se ḳhub-tar hain reg-zar

dil ke sahra men gulistan ki faza paida karo

ranj ki gahra.iyon ki tah ko paane ke liye

doston ki dushmani ko bhi ata jaana karo

aqibat ki fikr na-danon ka hissa hi sahi

aqibat ke tazkire par barmala roya karo

talḳh-tar ho zindagi to lutf de shayad siva

na-shanasaon ki ḳhatir ashna DhunDa karo

kya se kya shaklen dikhata hai fareb-e-agahi

dasht-e-imkan se koi zarra uTha laaya karo

azmat-e-insan ke dukh men ghul raha hai ahd-e-nau

is masiha ke liye mil kar dua manga karo

ḳharch uThta hi nahin aur rang laata hai ghazab

be-gunah ke ḳhuun se bhi qashqa zara khincha karo

ḳhaak uḌti hai ki raushan husn ka anchal hua

chehra-e-giti ba-sad-bim-o-raja dekha karo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sar Pe Suraj Ho Magar Saya Na Ho Aisa Na Tha

akhtar-ansari

Samajhta Hun Main Sab Kuchh Sirf Samjhana Nahin Aata

Sikandar Ke Safar Ki Baat Nikle

Jab Jab Wo Sar-E-Tur-E-Tamanna Nazar Aaya

poet

Ab Un Pe Meri Aah Ka Hoga Asar Kahan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet