ankhon men ansuon ko ubharne nahin diya
mitti men motiyon ko bikharne nahin diya
jis raah par pade the tire paanv ke nishan
is raah se kisi ko guzarne nahin diya
chaha to chahaton ki hadon se guzar gae
nashsha mohabbaton ka utarne nahin diya
har baar hai naya tire milne ka zaiqa
aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya
ye hijr hai to is ka faqat vasl hai ilaaj
ham ne ye zakhm-e-vaqt ko bharne nahin diya
itne bade jahan men jaega tu kahan
is ik khayal ne mujhe marne nahin diya
sahil dikhai de to raha tha bahut qarib
kashti ko rasta hi bhanvar ne nahin diya
jitna sakun mila hai tire saath raah men
itna sukun to mujhe ghar ne nahin diya
is ne hansi hansi men mohabbat ki baat ki
main ne ‘adim’ us ko mukarne nahin diya
Leave a Reply