har masarrat se kinara kar liya
ham ne tera gham gavara kar liya
chhat gai kuchh sham-e-gham ki tirgi
ashk jo ubhra sitara kar liya
aankh khulti hi nahin hai jis tarah
un ka sote men nazara kar liya
lutf farmaya nigah-e-naz ne
apne bas men dil hamara kar liya
ai mire gham-khvar tera shukriya
main ne apne gham ka chara kar liya
shab ki tanhai se phir ghabra gae
phir yaqin ham ne tumhara kar liya
sar pe tufan ne uthaya hai use
jis ne sahil se kinara kar liya
dushmani men jhuk gai us ki kamar
asman ne kya hamara kar liya
bin sahare dubna mushkil tha ‘soz’
na-khudaon ko sahara kar liya
Leave a Reply