Hasil-E-Zist Ishq Hi to Nahin

hāsil-e-zīst ishq hī to nahīñ

chashm-o-abrū hī zindagī to nahīñ

zulf-e-shab-rañg-o-chashm-e-sehr-andāz

ye bahut kuchh haiñ par yahī to nahīñ

mere lab tak tire taġhāful kī

baat aa.ī magar kahī to nahīñ

aap nārāz ho ga.e itnā

ye koī aisī baat bhī to nahīñ

kaT hī jā.egī ye bhī ai ‘bāqar’

hijr kī raat dā.imī to nahīñ

Leave a Comment