aks zaḳhmon ka jabin par nahin aane deta
main ḳharash apne yaqin par nahin aane deta
is liye main ne ḳhata ki thi ki duniya dekhun
varna vo mujh ko zamin par nahin aane deta
umr bhar sinchte rahne ki saza paa.i hai
peḌ ab chhanv hamin par nahin aane deta
jhuuT bhi sach ki tarah bolna aata hai use
koi luknat bhi kahin par nahin aane deta
apne is ahd ka insaf hai taqat ka ghulam
aanch bhi kursi-nashin par nahin aane deta
chahta huun ki use pujna chhoḌun lekin
kufr jo ḳhuun men hai diin par nahin aane deta
Leave a Reply