muqaddar apna bargashta muḳhalif asman apna
vo kya ruTha ki dushman ho gaya saara jahan apna
ilahi ho gaya be-vaj.h dushman baghban apna
kahan le jaa.en gulshan se uTha kar ashiyan apna
bigaḌ jaa.e na gulchin hai zamane ki hava bigḌi
banaya to hai bulbul shaḳh-e-gul par ashiyan apna
fasana ban ke apna ishq duniya ki zaban par hai
diya tha ham ne dil tum ko samajh kar raz-dan apna
vafa ki qadar kya hoti sitam ke ho ga.e ḳhugar
banaya un ko dushman ham ne de kar imtihan apna
ḳhuda ki zaat par ham ko to ai ‘shankar’ bharosa hai
bala se dushman-e-jan ho jo hai saara jahan apna
Leave a Reply