magar vo diya hi nahin maan kar ke
bahut ham ne dekha hai ji jaan kar ke
kabhi dil ko bhi sair kar jaao sahab
ye ghuncha bhi haiga gulistan kar ke
nazar is sarape men sau ja se palti
zulekhai yusufistan kar ke
vo jis roz niklen jag ujiyarne ko
ye dil bhi dikha laiyo dhyan kar ke
janab aap huur o malak honge lekin
samajhiyega ashiq ko insan kar ke
tiri lala-zari salamat ki ham bhi
khade hain koi ghuncha arman kar ke
masih o khizr sar-ba-kaf phir rahe hain
koi us pe marna hai asan kar ke
miri kisht-e-jan par se guzra hai ‘javed’
sahab-e-junun zor-e-baran kar ke
Leave a Reply