umr bhar jis ki mohabbat men giraftar rahi
us ko divar kiya ḳhud pas-e-divar rahi
aankh lag jaa.e to phir aankh kahan lagti hai
main agar so bhi ga.i ḳhvab men bedar rahi
tirgi se mira samjhauta nahin ho sakta
main hamesha se charaghon ki taraf-dar rahi
baghbanon ko pashemani isi baat ki hai
main ḳhizaon ke dinon men bhi samar-bar rahi
tu to kam-hausla mat jaan mujhe ai duniya
tujh se to har ghaḌi main barsar-e-paikar rahi
mere chehre pe ‘tabassum’ ki haqiqat na khuli
main zamane ke liye kitni pur-asrar rahi
Leave a Reply