jo tha har aan mubtala mera
vo bhi samjha na majra mera
hai mohabbat men kuchh havas pinhan
tu na kariyo kabhi kaha mera
tere nazdik rah ke bhi tujh se
kam hi kam vasta raha mera
sab se avval hai baat gadhne men
haae zalim muashra mera
itna viran tha main andar se
mujh men man hi nahin laga mera
kaash tu dhuup ki sadak hoti
aks phir tujh pe daudta mera
mukhtalif hai khuda zamane ke
jaane ho kaun sa khuda mera
kaun ‘afi’ bune mujhe phir se
haath aata nahin sira mera