khizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai
bahar aane ki surat nikal bhi sakti hai
jala ke shama ab uth uth ke dekhna chhodo
vo zimmedari se az-khud pighal bhi sakti hai
hai shart subh ke raste se ho ke shaam aae
to raat us ko sahar men badal bhi sakti hai
zara sambhal ke jalana aqidaton ke charagh
bhadak na jaaen ki masnad ye jal bhi sakti hai
abhi to chaak pe jaari hai raqs mitti ka
abhi kumhar ki niyyat badal bhi sakti hai
ye aftab se kah do ki fasla rakkhe
tapish se barf ki divar gal bhi sakti hai
tire na aane ki tashrih kuchh zaruri nahin
ki tere aate hi duniya badal bhi sakti hai
koi zaruri nahin vo hi dil ko shaad kare
‘alina’ aap tabiat bahal bhi sakti hai
Leave a Reply