har khvab ke makan ko mismar kar diya hai
behtar dinon ka aana dushvar kar diya hai
vo dasht ho ki basti saaya sukut ka hai
jadu-asar sukhan ko bekar kar diya hai
gird-o-navah-e-dil men khauf-o-hiras itna
pahle kabhi nahin tha is baar kar diya hai
kal aur saath sab ke is paar ham khade the
ik pal men ham ko kis ne us paar kar diya hai
pa-e-junun pe kaisi uftad aa padi hai
agli masafaton se inkar kar diya hai
Leave a Reply