be-niyaz-e-har-tamanna ho gaya
ishq men ab husn paida ho gaya
dard-e-dil ḳhud hi masiha ho gaya
mar gaya bimar achchha ho gaya
dil men koi to ada-e-ḳhas thi
jalva ḳhud mahv-e-tamasha ho gaya
ai nigah-e-lutf parda chahiye
soz-e-dil saz-e-tamanna ho gaya
meri ḳhamoshi fasana ban ga.i
ḳhud lab-e-ḳhamosh goya ho gaya
pa.emali men nihan thi zindagi
dil miTa miT kar tamanna ho gaya
samne hain aur nazar aate nahin
jalva ḳhud ankhon ka parda ho gaya
is ada se aaj uTThi vo nazar
main bhari mahfil men rusva ho gaya
muskura kar tum ne kyon dekha mujhe
bijliyon ko ik bahana ho gaya
is tarah jalva dikhate hain kahin
har tamasha.i tamasha ho gaya
ho ga.i ḳhamosh sham-e-zindagi
ḳhatm sab dil ka fasana ho gaya
jo gira daman pe aansu ai ‘munir’
a.ina-dar-e-tamanna ho gaya
Leave a Reply