main nahin kahta ki duniya ko badal kar raah chal
ḳhaar hain pairahan-e-gul men sambhal kar raah chal
duur hai mulk-e-adam aur tujh men dam baaqi nahin
ho sake to bas yunhi karvaT badal kar raah chal
talib-e-manzil hai phir uzlat-nashini kis liye
rah-ravon ko dekh le ghar se nikal kar raah chal
ku-e-janan men zamana ho gaya rote hue
ta-kuja dil ka ta.assuf haath mal kar raah chal
yuun rasa.i ta-sahar mumkin nahin ai dil magar
sham.a ki surat shab-e-gham men pighal kar raah chal
Leave a Reply