jab tak apne dil men un ka gham raha
hasraton ka raat din matam raha
hijr men dil ka na tha sathi koi
dard uTh uTh kar sharik-e-gham raha
kar ke dafn apne parae chal diye
bekasi ka qabr par matam raha
saikḌon sar tan se kar daale juda
un ke ḳhanjar ka vahi dam-ḳham raha
aaj ik shor-e-qayamat tha bapa
tere kushto ka ajab aalam raha
hasraten mil mil ke rotin yaas se
yuun dil-e-marhum ka matam raha
le gaya ta ku-e-yar ‘ahsan’ vahi
muddai kab doston se kam raha
Leave a Reply