bimar-e-gham ka koi mudava na kijiye
ya.ani sitamgari bhi gavara na kijiye
rusva.i hai to ye bhi gavara na kijiye
ya.ani pas-e-ḳhayal bhi aaya na kijiye
zarf-e-nigah chahiye didar ke liye
ruḳh ko pas-e-naqab chhupaya na kijiye
dil shauq se jala.iye inkar hai kise
lekin jala jala ke bujhaya na kijiye
parda nigah ka hai to kaisi ḳhususiyat
apni nigah-e-naz se parda na kijiye
kal ghair ki gali men qayamat ka zikr tha
sharma.iye huzur bahana na kijiye
bas aap ka sitam hi karam hai mire liye
lillah ghair se mujhe puchha na kijiye
pabanda-e-vafa hai to phir mudda.a se kaam
mar ja.iye kisi ki tamanna na kijiye
‘talib’ hadis-e-ishq tavajjoh talab sahi
yuun dastan bana ke sunaya na kijiye
Leave a Reply