• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui

Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui

maut aa.i kitni baar na.i zindagi hui

nikli magar na phans jigar men chhupi hui

ab ho bhi koi ma.il-e-lutf-o-karam to kya

hoti nahin shagufta tabi.at bujhi hui

mausam yahi bahar ka hai ishq ke liye

aati nahin palaT ke javani ga.i hui

kuchh zahr ka nasha hai to kuchh tharthari si hai

rag rag men aaj hai koi shai pairti hui

ab-e-hayat bhi koi chhiḌke agar to kya

bujhti nahin hai aag jigar men lagi hui

aa.i hai saans dusri nashtar liye hue

ik saans men hamen jo masarrat kabhi hui

har roz ek dard naya dil men hai ‘jigar’

har raat sochte hain ki had dard ki hui

sahra men chal ke gham ko bhula do uTho ‘jigar’

dekho vo aa rahi hai ghaTa jhumti hui

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Liya Jo Uski Nigahon Ne Jaeza Mera

Pasina Mathe Se Bah Raha Hai Na Koi silwaT Libas Par Hai

poet

Nae Safar Mein Jo Pichhle Safar Ke Sathi The

Hath Aa Gaya Hai Jab Se Shuur-E-KHudi Ka Sanp

poet

Khuli Jo Aankh to Sadiyon Ka Fasla Nikla

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet