tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai
ja mujhe teri tamanna bhi nahin chahiye hai
dekh kuchh bhi na sakun main kisi saa.e ke siva
raushni itni ziyada bhi nahin chahiye hai
ik nazar tishna-e-nazzara hi rakh leni hai
ik tamashe men tamasha bhi nahin chahiye hai
ḳhair-o-shar donon mujhe…. zaḳhm diye jaate hain
ye bura kya mujhe achchha bhi nahin chahiye hai
ab zara chahiye tanha.i men yaksui mujhe
ab koi chahne vaala bhi nahin chahiye hai
main ne halkan kiya jis ki talab men ḳhud ko
sach to ye hai ki vo duniya bhi nahin chahiye hai
rok mat mujh ko farastada-e-tughyani huun
us safar men huun ki rasta bhi nahin chahiye hai
jiina mushkil to bahut hai tiri is duniya men
lekin is ḳhvab ko marna bhi nahin chahiye hai
Leave a Reply