• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yar Ko Bebaki Mein Apna Sa Humne Kar Liya

Yar Ko Bebaki Mein Apna Sa Humne Kar Liya

poet

yaar ko bebaki men apna sa ham ne kar liya

ya.ani us ne Thokaron men sar hamara dhar liya

ishq-e-rusva ne di afzuni hijab-e-husn ko

jo uTha parda yahan se us ne vaan munh par liya

is ko mai-ḳhvari nahin kahte hain ḳhun-ḳhvari hai ye

mere dil se li gazak aur ghair se saghar liya

naam ko dil men jagah chhoḌi na dagh-e-ishq ne

ek mehman aisa aaya jis ne saara ghar liya

zauq dekho mujh se said-e-na-tavan ke vaste

tegh li ik haath men ik haath men ḳhanjar liya

main sitara-soḳhta vo huun ki jis ka za.icha

us ghaḌi khincha gaya jab daagh ka aḳhtar liya

chashm-o-dil rakkho ho yaaro jaav Tuk dekho use

mujh se kya kahte ho us ne dil tira kyun-kar liya

ai ‘raza’ raah men ḳhizr ki mat raah dekh

ghar ke jaane men kisi ne bhi bhala rahbar liya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phul Mahkae the Maine Shadmani Ke Liye

shahnaz-nabi

Nizam-E-Shamsi

ahmad-hamdani

dil Tujhe Pa Ke Bhi Tanha Hota

Pas Hote Hue Juda Kyun Hai

Har Lamha Nam-Dida Rahne Ki Aadat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet