
Hurmatul Ikaram
us ke siva kya apni daulat
soz-e-tamanna dard-e-basirat
apne alava kaun milega
kis se karne jaa.en adavat
sikkon ka bazar hai duniya
milti kya ehsas ki qimat
naḳhun-e-dauran aur ghazab tha
bharta bhi kya zaḳhm-e-farasat
har dhaḌkan afsana ban kar
khol rahi hai dil ki haqiqat
zaḳhmon phulon ki ye duniya
dil ka jahannum aankh ki jannat
kitne tajarbe ek tamanna
kitne ḳhvab aur ek mohabbat
but-kada-e-fan teri ḳhatir
gaḌhta huun taḳh.il ki murat
karte ‘hurmat’ ki gham-ḳhvari
gham ne kahan di itni mohlat

Leave a Reply