musafiron ka kabhi e’tibar mat karna
jahan kaha tha vahan intizar mat karna
men niind huun miri had hai tumhari palkon tak
badan jala ke mira intizar mat karna
men bach gaya huun magar saare ḳhvab Duub ga.e
miri tarah bhi samundar ko paar mat karna
baha lo apne shahidon ki qabr par aansu
magar ye hukm hai katbe shumar mat karna
hava aziiz hai lekin ye us ki zid kya hai
tum apne ghar ke charaghon ko pyaar mat karna
ye vaqt band darichon pe likh gaya ‘qaisar’
main ja raha huun mira intizar mat karna
Leave a Reply