hai yaad tujh se mera vo sharh-e-hal dena
aur sun ke tera us ko hans hans ke taal dena
kar kar ke yaad us ki behal huun nihayat
fursat zara tu mujh ko tu ai khayal dena
us zulf-e-kaj ke uqde hargiz khule na mujh par
kyuun us ko shana kar ke ek ek baal dena
main muddaa ko apne mahmil kahun huun tujh se
gosh-e-dil apna idhar sahab-e-jamal dena
is umr bhar men tujh se manga hai ek bosa
khali pade na pyare mera saval dena
ham se rukhaiyan aur munh jhulse muddai ka
bosa pe bosa har dam duun be-saval dena
ya-rab kisi pe hargiz ashiq koi na ho jo
dil haath dilbaron ke hai bad-maal dena
vo mehrban ki ham ko altaf-e-bar-mahal se
paas apne se tha us ko uthne muhal dena
dekhe hai duur se to kahta hai be-muravvat
ye kaun aa ghusa hai is ko nikal dena
qaabu hai tera ‘hasrat’ mat chhod muddai ko
dushman ko maslahat niin hargiz majal dena
Leave a Reply