qaid-o-band-e-ġham se vo āzād hai
har qadam par yaañ na.ī uftād hai
shaad hai to aur koī barbād hai
kyā fasāna aur kyā rūdād hai
daftarī māhaul meñ dekho kabhī
koī kitnā shaad hai nāshād hai
kyoñ zamāna merā ham-āvāz ho
merā naġhma dard hai fariyād hai
ḳhān-qāheñ tum sajā lo dosto
mere dam se mai-kada ābād hai
ahd-o-paimāñ tum ne bāñdhe the kabhī
kyā tumheñ vo bhī zamāna yaad hai
istelāheñ sirf baaqī haiñ ‘razā’
vo qafas baaqī na vo sayyād hai