gulab kikar pe kab ugega
ki khaar donon men mushtarak hai
men kis tarah sochne laga huun
mujhe rafiqon pe kitna shak hai
ye admiyat ajiib shai hai
sarisht men kaun sa namak hai
ki aag, pani, hava, ye mitti
to har bashar ka hai tana-bana
kahan ghalat ho gaya murkkab
na ham hi samjhe na tum ne jaana
gharib ke tute-phute ghar men
hua talavvud to shah-zada
buland masnad ke ghar piyada
vali ke ghar men haram-zada
Leave a Reply