kabhi gunahon ki mutlaq kafan utaar ke aa
tu ujli ruuh se maila badan utaar ke aa
jo mere vasl ka ehsas tujh pe taari hai
kisi ke lams ki saari chhuvan utaar ke aa
na.i hayat ke kapḌe liye hai maut khaḌi
purana zindagi ka pairahan utaar ke aa
nazar men sharm haya ka bhi paas baaqi rahe
nazar ki shoḳhiyon ko gul-badan utaar ke aa
na.i bahar ne paigham ye hava ko diya
gulon ke tan se ḳhizan ka kafan utaar ke aa
hamesha uḌte hain taa.ir tire tasavvur ke
kabhi to zehn se fikr-e-suḳhan utaar ke aa
Leave a Reply