istada hai jab samne divar kahun kya
hasil bhi nahin rauzan-e-darkar kahun kya
lagta to hai kuchh diid ko na-did ke pichhe
khulta nahin manzar koi us paar kahun kya
huun tang zara jeb se ai hasrat-e-ashya
shamil to hai fahrist men bazar kahun kya
jis baat ke inkar ka had-darja guman hai
vo baat yaqin ke liye sau baar kahun kya
main un ke javabat se aur ahl-e-zamana
hain mere savalat se bezar kahun kya
jis baat pe thi bahs hui bahs se ḳharij
ab rah ga.i aapas men hai takrar kahun kya
ham-sa.e ki ham-sa.e se pahchan nahin hai
paivast hai divar men divar kahun kya
ghafil nahin aisa bhi main ab apni rasad se
is dil men talab ka hai jo ambar kahun kya
gulzar sa khil uThta hai ḳhushbu-e-suḳhan se
jaadu hai vo is ka dam-e-guftar kahun kya
hai rang badan ka lughat-e-rang men napaid
la-sani hai qamat men qad-e-yar kahun kya
Leave a Reply