• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ahl-E-Gham Se Ishrat-E-Alam Ka Saman Ho Gaya

Ahl-E-Gham Se Ishrat-E-Alam Ka Saman Ho Gaya

ahl-e-gham se ishrat-e-alam ka saman ho gaya

jab zamin ki daagh ubhar aa.e gulistan ho gaya

apni had se baḌh ke jaata kis taraf ko dil mira

jaan paḌte hi ye musht-e-ḳhak be-jan ho gaya

ishq ke ba.ad ab havadis ki zarurat kya rahi

asman dam le mire marne ka saman ho gaya

hashr men pahchan kar qatil ka munh takne laga

jab zarurat hosh ki dekhi to hairan ho gaya

ḳhuftagan-e-ḳhak kitna be-mahal so.e ki ab

majma-e-ahbab ik ḳhvab-e-pareshan ho gaya

inqalab aa kar madad dete hain istedad ko

karvaTen badlen lahu ne aur insan ho gaya

rasta vahshat ko aḳhir mil gaya tangi men bhi

ye gareban tha jo do hathon men daman ho gaya

vus.at-e-sahn-e-jahan kuchh kam na thi ai ishq dost

kyuun ghaTa itna ki dil valon ko zindan ho gaya

baghban ki raa.e men main be-haqiqat tha magar

ba.ad mere ashiyan dagh-e-gulistan ho gaya

ruk chala hai beach men ḳhanjar ilahi ḳhair ho

dam na niklega agar qatil pasheman ho gaya

ek qatra bahr-e-isyan ka tha jo yuun sar chaḌha

palte palte daman-e-alam men tufan ho gaya

jab koi aansu mizha par aa ke chamka sham-e-gham

main ye samjha sub.h ka taara numayan ho gaya

shukr shane ka karun ya sabr ko DhunDun kahin

zulf to simTi magar haan dil pareshan ho gaya

kam se kam par aaj raazi hain shahidon ke mazar

aap hans denge to samjhenge charaghan ho gaya

jis men lakhon phuul the ‘saqib’ vo bagh-e-dil-kusha

ek hi gardish men gardun ki bayaban ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Agar Dasht-E-Talab Se Dasht-E-Imkani Mein Aa Jate

abdul-wahab-sukhan

Wo Ba-Rang-e-Etibar Aankhon Mein Hai

ameer-minai

Tir Par Tir Lagao Tumhein dar Kis Ka Hai

Wo Nikhat-E-Gesu Phir Ai Ham-Nafasan Aai

Mohabbat Ke Taaqub Mein Thakan Se Chur Hone Tak

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet