kaun se din tiri yaad ai but-e-saffak nahin
kaun si shab hai ki khanjar se jigar chaak nahin
lutf-e-qatil men taammul nahin par kya kiije
sar-e-shorida mira qabil-e-fitrak nahin
tujh par ai dilbar-e-alam jo har ik marta hai
is liye marne se mere koi ghamnak nahin
dil hua paak to phir kaun nazar karta hai
aur dil paak nahin hai to nazar paak nahin
ilm aur jahl men kuchh farq na ho kya maani
ham bhi bebak hain par ghair se bebak nahin
qais ko fazl-e-taqaddum hai vagarna yaan kya
sar-e-shorida nahin ya jigar-e-chak nahin
ma-siva allah na rahe ‘shefta’ hargiz dil men
khusravi kaakh saza-e-khas-o-khashak nahin
Leave a Reply