aghaz-e-jafa yaad na anjam-e-vafa yaad
jab samne tum aa.e to kuchh bhi na raha yaad
ab yaad nasheman hai na bijli ki jafa yaad
nikle the kuchh aise ki chaman tak na raha yaad
jis ne miri soi hui duniya ko jagaya
aa jaati hai ab bhi vo mohabbat ki sada yaad
ehsas sa hota hai dhaḌakte hue dil ko
shayad mujhe bhuli hui duniya ne kiya yaad
jo dil men tamanna tha jo ankhon men sharar tha
ab bhi hai us aansu ke Tapakne ki sada yaad
didar ki hasrat thi tamanna thi gila tha
jab hosh mujhe aaya to kuchh bhi na raha yaad
vo atish-e-ruḳhsar na vo sho.ala-o-saghar
kuchh bhi nahin maḳhmur nigahon ke siva yaad
jis ne ki mila.e the sitaron se sitare
ab tak hai us angḌa.i ke lene ki ada yaad
phulon men vo halki si kali khil ga.i jaise
ai ‘fazl’ vo andaz-e-tabassum hi raha yaad
Leave a Reply