but bane raah takoge kab tak
aas ki aanch sahoge kab tak
sar uTha kar kabhi dekho to sahi
dil ki duniya men basoge kab tak
jis ne apni bhi ḳhabar li na kabhi
tum use yaad karoge kab tak
ham-safar ho to koi apna-sa
chand ke saath chaloge kab tak
koi patta hai na buuTa hai na gul
dasht ko baagh kahoge kab tak
har taraf aag barasti hai yahan
kis tavaqqo.a pe rahoge kab tak
andhiyan tez hui jaati hain
ghar bulata hai chaloge kab tak
koi ja kar nahin aata ‘shohrat’
surat-e-sham.a ghuloge kab tak
Leave a Reply