jab jab is ko socha hai
dil andar se mahka hai
sahra par mauquf nahin
dariya bhi to pyasa hai
tere ruup ka saaya to
sidha dil par paḌta hai
sab se us ki baten karna
kitna achchha lagta hai
choT lage ik umr hui
zaḳhm abhi tak rista hai
shaam ki banhon men ‘noman’
kis ko sochta rahta hai
Leave a Reply