ashk-uftada nazar aate hain saare dariya
sail-e-girya ne ye nazron se utare dariya
dekh len gar miri ashkon ke sharare dariya
khushk barsat men hon khauf ke maare dariya
donon chashmon se miri ashk baha karte hain
mauj-zan rahta hai dariya ke kinare dariya
raghbat is tark ko machhli ke kababon se nahin
atish-e-shauq se shekhi na baghare dariya
kaam ashkon ki ravani se na nikla akhir
justuju-e-dur-e-maqsud men haare dariya
jis ko izzat de use phir na kare be-izzat
kulah-e-sar na hababon ki utare dariya
saath ghairon ke vahan tum to nahane ko gae
roe yaan ham gham-e-furqat men tumhare dariya
hasil-e-gauhar-e-maqsud hai rone se mujhe
dida-e-tar ke badaulat hai ijare dariya
aankh se mujh ko bulata nahin vo qulzum-e-husn
chashm-e-girdab se karta hai ishare dariya
bar-e-ulfat ko jo le sar pe to nikle na kasak
ta-qayamat kamar-e-koh jo dhare dariya
jab main rota huun nazar aata hai paani paani
dam-e-girya miri ankhon ke hain taare dariya
furqat-e-yar men kya sair karen dariya ki
ai ‘saba’ dida-e-giryan hain hamare dariya
Leave a Reply