sameT lo ye pyaar ki nishaniyan sameT lo
ye qissa-e-alam ruke kahaniyan sameT lo
havas ke haul-nak bistaraon pe dam na toḌ den
ab apni rabton ki zindaganiyan sameT lo
kabhi to do ghaḌi ruko ki raste udaas hain
kabhi to manzilon ki ye ravaniyan sameT lo
qalam ki nok par jo zaḳhm hain unhen hava na do
tum apne shauq ki ye na-tavaniyan sameT lo
ye sard sard guftugu ‘tapish’ hai kis ke ru-ba-ru
sajao bazm saari bad-gumaniyan sameT lo
Leave a Reply