ashiyana mira barbad na kar ai sayyad
baagh se tu mujhe azad na kar ai sayyad
qaid tu ne kiya gulchin ne mira dil toḌa
us pe kahta hai ki fariyad na kar ai sayyad
phuul kumhla ga.e naghmon ka zamana na raha
pichhli baton ko to ab yaad na kar ai sayyad
ik na ik roz to gulshan men bahar aa.egi
ḳhaak meri abhi barbad na kar ai sayyad
phir ye kahta huun ki main ‘shad’ huun nashad na huun
ashiyana mera barbad na kar ai sayyad
Leave a Reply