jahan-e-marg-e-sada men ik aur silsila khatm ho gaya hai
kalam yaani khuda ka ham se mukalima khatm ho gaya hai
hamen to bas ye pata chala tha ki unton vaale chale gae hain
kisi ko is ki khabar nahin jo moamla khatm ho gaya hai
na titliyon jaisi dopahar hai na ab vo suraj gulab jaisa
jise mohabbat kaha gaya vo mughalta khatm ho gaya hai
tumhari baton ke jin pe shahtut jhad rahe hon vahi bataen
ki talkh-abad men hamara to zaiqa khatm ho gaya hai
hamari ankhon se khvab o khas ke tamam pushte hatae jaaen
hamara naraz paniyon se muahida khatm ho gaya hai
ab is liye bhi hamen mohabbat ko tuul dena padega ‘tabish’
kisi ne puchha to kya kahenge ki silsila khatm ho gaya hai
Leave a Reply