bisat dil ki bhala kya nigah-e-yar men hai
ye shisha TuuT bhi jaa.e to kis shumar men hai
ye jante hain ki vo is taraf na aa.ega
ajab maza sa magar us ke intizar men hai
bas ek zaḳhm-e-ḳhalish umr-bhar ki tanha.i
vahi to doge tumhare jo iḳhtiyar men hai
vo khel khelne baiThe hain ḳhatma jis ka
tumhari jiit men hai aur hamari haar men hai
Leave a Reply