mujh ko mat chhuna ki ris kar phuTne vaala huun main
tujh ko kya ma.alum tere tanz ka chhala huun main
aaj zehnon men huun lekin kal ka andesha huun main
darmiyan donon ke gir kar TuTta rishta huun main
aḌi-tirchhi si lakiren khinchta huun aur phir
us ko har manzar men rakh kar rang bhar deta huun main
vo to yuun ḳhush hai samajhta hai ki main tairak huun
us ko kya ma.alum ḳhud hi Dubne vaala huun main
apni gul-poshi pe main nadim bhi huun sarshar bhi
haar kar jiita huun jaane jiit kar haara huun main
Leave a Reply