kali pe rang gulon par nikhar bhi to nahin
bahar ḳhaak umid-e-bahar bhi to nahin
kuchh aisi aag lagi hai mire gulistan men
yahan shajar koi be-barg-o-bar bhi to nahin
isi fareb men rahta ki paas hai manzil
sitam to ye hai ki rah men ghubar bhi to nahin
mujhe zamane ne baḳhshi hai vo fareb ki mai
nasha to ek taraf hai ḳhumar bhi to nahin
samajh men aati nahin sard-mehri-e-duniya
kisi ke siine men gham ka sharar bhi to nahin
qarar dil ke liye DhunDhta magar tauba
tire baghair ye ab be-qarar bhi to nahin
nikal to jaao jahan-e-ḳharab se ai ‘arsh’
magar yahan koi ja-e-farar bhi to nahin
Leave a Reply