vo nairang-e-ulfat ko kya janta hai
ki apne se mujh ko juda janta hai
kuchh aisi to dushman men khubi nahin hai
magar tu khuda jaane kya janta hai
ye munh se to kahta huun chhodi mohabbat
magar haal dil ka khuda janta hai
tumhari shararat ko kya jaane koi
ye main janun ya dil mira janta hai
‘zahir’ apne aibon ko main janta huun
zamana mujhe parsa janta hai
Leave a Reply